This one's from Jodha-Akbar...one of the best compositions of recent times...lyrics, music, feeling et al.....
Mann mohana...mann mohana...
kanha suno na...
Tum bin paoon kaise chain...
Tarsoon tumhi ko din-rain...
Chod ke apne kaashi mathura...
Aake basao more nain...
Tum bin paoon kaise chain...
Tarsoon tumhi ko din-rain...
Ek pal ujiyaara aaye, ek pal andhiyaara chaaye,
Mann kyon na ghabraye, kaise na ghabraye...
Mann jo koi dauraha apni raahon mein paaye...
Kaun disha jaye...
Tum bin kaun samjhaye...
Raas rachaiya brindavan ke gokul ke baasi...
Radha tumhri daasi...darshan ko hai pyaasi...
Shaam salone nandalala kishna banwaari...
Tumhri chab hai nyaari...
Main to hoon tan-mann haari....
Jeevan ek nadiya hai lehron lehron behti jaaye...
Ismein mann ki naiyya...Doobe kabhi tar jaaye
Tum na khewaiya ho to koi tat kaise paaye
Majdhaar rehlaaye
To tumhri sharan aaye....
Main hoon tumhari , hai tumhara ye mera jeevan...
Tumko hi dekhoon main...Dekhoon koi darpan...
Bansi ban jaooingi , In hoton ki ho jaoongi...
Is sapnon se jal-thal...
Hai mera mann aangan...
Wednesday, August 26, 2009
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment